Lirik Lagu Mere Baad Kisko Satao Ge Nusrat Fateh Ali Khan

Saqi Ki Har Nigah Peh Bal Kha Ke Pee Gaya
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra Ke Pee Gaya
Ey Rehmat-e-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-e-Shouq Mein Ghabra Ke Pee Gaya
Peta Baghair Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-e-Yaar Ki Shai Pa Ke Pee Gaya

Zahid Ye Meri Shokhi-e-Rindaana Dekhna
Rahmat Ko Baaton Baaton Main Bahla Ka Pi Gaya
Uudii Uudii Ghaataa′en Aatii Hain
Mutribon Ke Navaa'en Aati Hain
Kis Ke Gesuu Khule HaiN Saavan Main
Mahki Mahki Havaa′en Aati HaiN
Aao Sah'n-e-Chaman Main Raqs Karen
Saaz Lekar Ghaataa'en Aati Hain
Dekh Kar Unki Ankhriyon Ko "Adam"
Maikadon Ko Havaa′en Aati Hain

Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Unki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai

Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai
Ke Sharaab Peena Sikha Diya
Tere Pyar Ne, Teri Chaah Ne
Teri Behki Behki Nigaah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya...

Sharab Kaisi, Khumaar Kaisa
Yeh Sub Tumhari Nawazishein Hein
Pilai Hai Kis Nazar Say Tu Ne
Ke Mujhko Apni Khabar Nahi Hai
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia

Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam Must
Din Must, Raat Must, Saher Must, Shaam Must
Khum Must, Sheesha Must, Sabu Must, Jaam Must
Hai Teri Chashm-E-Must Say Her Khaas-o-Aam Must

Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Mae′Khane Mein Hai
Wo Bhi Thori Si Jo In Aankhon Ke Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari Hai Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka. Bus
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya...

Meray Saqi Saqi Meray Saqi

Lahara Jhoom, Jhoom Ka La, Muskra Ka La
Phoolon Ka Raas Main Chaand Ke Kirnian Mila Ka La
Kyun Jaa Rahi Hai Rout Ka Raangeen-e-Bahar
Jaa Ek Martba Isay Phir Wargala Ka Laa

Sagar Shikan Hai Sheikh Bala Noush Ke Nazar
Sheesha Ko Zeer-e-Daman Raangeen Chupa Ka La
Kahtain Hai Umer-e-Rafta Kabhi Lout Ti Nahi
Ja Mainkda Sa Meri Jawani Outha Ka La

Main Na Mana Sharab Jaanab Peeta Hoon
Zindagi Ka Aazab Peeta Hoon
Baan Ka Khana Kharab Peeta Hoon
Rooz-e-Mahshar Hisab Ho Na Sakay
Is Liya Ba Hisab Peeta Hoon

Jaam Hai Mahtab Hai Saqi
Sara Mousam Sharab Hai Saqi
Baaz Lamhat Asay Bhi Hotay Hain
Jiss Main Peen Sawab Hai Saqi

Achi Pee Lee Kharab Pee Lee
Thi Aag Misala-e-Habab Pe Lee
Aadat Hai Aab Tou Nasha Na Kaif
Pani Na Piya Sharab Pee Lee

Nasha Imaan Hota He Surahi Deen Hoti He
Jawani Ki Ebadat Kis Qadar Rangeen Hoti He
Tumhara Husan Agar Benaqab Ho Jaya
Her Ek Chaira Khuda Ke Kitab Hojaya

Jo Qaida Sa Na Ho Tou Fazool Hai Sajda
Adab Ka Sath Khata Bhi Sawab Ho Jaya
Sharabiyo Ko Aquidadt Hai Is Qadar Tum Sa
Jo Tum Pila Dou Pani Sharab Ho Jaya

Dil Us Ka Namazi Bun Jaya
Aankh Us Ki Gulabi Ho Jaya
Jiss Ko Tou Mohabbat Say Daikhe
Saqi Wo Sharabi Ho Jaya

Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Mae'Khane Mein Hai
Wo Bhi Thori Si Jo In Aankhon Ke Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari Hai Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya

Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Yad Hai Meri Bandagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi

Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon, Jab Saamne Tu Aata Hai
Kyun Ka Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai

Mai Azal Say Banda-E-Ishq Hoon, Mujhe Zohd-O-Kufr Ka Gham Nahin
Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya, Mujhe Ab Talash-E-Haram Nahi
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi, Jo Ba-Qaid-E-Dair-O-Haram Nahi
Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna, Ba-Khuda Namaz Se Kam Nahi

Tera Naam Loon Subho Sham Tera Naam Lou

Tera Naam Loon Zubaan Say, Tere Aagay Sir Jhuka Doon
Mera Ishq Keh Raha Hai, Mein Tujhe Khuda Bana Loon
Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar Dar
Mujhay Bhool Ja′ay Dunya, Mein Agar Tujhe Bhula Doon
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein, Tere Bepanah Jalwe
Na Ho Jiss Mein Noor Tera, Woh Charagh Hi Bujha Doon

Teri Dillagi Kay Saadka Teri Saag Tulmaa
Mera Ghum Pa Hasna Wala Tujha Kon Se Dua Doon
Qayaamat Main Teraa Daagh-e-Muhabbat Lekar Outhungaa

Teri Dillagi Kay Saadka Teri Saag Tulmaa

Zulf Rukh Se Hata Ka Baat Karo
Raat Ko Din Bana Ka Baat Karo
Mae Kaday Ka Chiragh Madham Hain
Zara Ankhain Utha Ka Baat Karo

Phool Kuch Chahye Huzoor Humain
Tum Zara Muskara Ka Baat Karo
Ye Bhi Andaz-e-Guftugo He Koi
Jab Karo Dil Dukha Ka Baat Karo

Zara Apni Shokhi To Daikhiyeh
Liyeh Zulf-e-Khamshuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay
Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia

Dil Talab Hai Aur Taman Hai Jaan Ke
Kya Maharbaniyan Hai Meray Mehrban Ke
Nazuk Misaaj Hona Koi Yaar Ker Tarha
Kinchta Hia Baat Baat Pa Talwar Ke Tarha
Dil Muft Chahta Hai Magar Sab Ka Samnay
Keemat Laga Raha Hai Kharidar Ke Tarha

Teri Dillagi Kay Saadka Teri Saag Tulmaa
Mera Ghum Pa Hasna Wala Tujha Kon Se Dua Doon
Qayaamat Main Teraa Daagh-e-Muhabbat Lekar Outhungaa
Teri Tasver Us Dam Bhi Kaleje Se Lagi Hogii Kyun Ka
Kyun Ka Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Teri Yad Hai Meri Bandagi
Jo Teri Khushi, Wo Meri Khushii
Ye Mera Junoon Kaa Hai Mo'jizaa
Jahaan Apne Sir Ko Jhukaa Diyaa
Wahan Maine Kaaba Banaa Diyaa

Mere Baad Kisko Satao Gay

Main On Ka Samna Awal Tu Khanjar Rakh Diya
Phir Kalaja Rakh Diya Dil Rakh Diya Sir Rakh Diya
Aur Arazz Kiya Mere Baad Kisko Satao Gay

Main Na Kaha Mishga Hai Ya Os Na Kaha Ya Teer Hai
Main Na Kaha Abru Hai Ya Os Na Kaha Shamshir Hai
Main Kaha Cheera Pa Kyun Baal Khati Hai Zulfain
Tou Us Na Kaha Ya Ashiqon Ka Wastay Zanjeer Hai

Main Kaha Furqat Main Teri Jaan Per Khala Hon Main
Os Na Kaha Zinda Raha Ya Bhi Teri Taqdir Hai
Main Tum Ko Dil Diya Tum Na Mujha Rouswa Kiya
Main Tum Sa Kya Kiya Aur Tum Na Mujha Sa Kya Kiya

Mere Baad Kisko Satao Gay

Jitna Jee Chaya Satoow Waqt Hai Beqason Per Muskaro Waqat Hai
Dekh Lana Mian Na Tarpoo Ga Zaheer Shouk Sa Khanjar Chalao Waqt Hai
Meri Wafain Yaad Karo Ga Rou Gay Faryad Karo Gay
Mujh Ko Tou Barbad Kiya Hai Aur Kisay Barbad Karoo Gay

Akar Bhi Nasahad Kiya Ha Ja Kar Bhi Nashad Karo Gay
Tera Zulum Nahi Hai Shamil Kar Meri Barbadi Main
Teri Ankhian Bheeg Rahi Hain Kyoun Mere Afsanay Say
Per Ya Tou Bato Mere Baad Kisko Satao Gay

Jo Pucha Ke Kis Tarah Hoti Hai Baarish,
Jabeen Se Paseene Ki Boondein Gira Deen
Jo Pucha Ke Kis Tarah Girti Hai Bijli,
Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Deen
Jo Pucha Shab-O-Roz Milte Hain Kaise,
To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deen
Jo Pucha Ke Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa,
To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein
Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha,
To Jalti Howi Chund Shamein Bujha Deein

Main Kehta Reh Gaya Khata-E-Mohabbat Ki Achi Saza Di
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di,
Acha Phir Mere Baad Kisko Satao Gay

Kuch Asi Qatilana Nighon Mian Dhal Gaya
Arman Arzo Ka Janazay Nikal Gaya
Kismat Phiri Tou Phir Gaya Ehabab Is Tarha
Dekha Humain Tou Dour Sa Rasta Badal Gaya

Mere Baad Kisko Satao Gay Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay Meri Dosti Ki Balaein Loon
Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do Tumhein Ek Qatil Bana Diya

Yeah Jo Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai...!!
 

 
  Nusrat Fateh Ali Khan   Writed by Admin  5x     2024-12-23 12:09:19

post a comment